Monday, February 16, 2009

Zindagi Hai Tazurba..

Zingai hai tazurba..es pal ka
Zingai hai tazurba..beete kal ka

Hai tu hi kaniz, aur raja bhi tu
Yeh tere faisale...khamiyaza bhi tu
Teri raahen karam, aur safar hai nadi
kabhi chota safar, kabhi guzare sadi
Har tazurba safar, har safar wakayon ka
bas akela hai tu, yeh nahin bakiyon ka
Zingai hai tazurba..es pal ka
Zingai hai tazurba..beete kal ka

Mana zakhmo ko apne..tu gin sakta nahin
Par dil main apne.. waqt kuch bhi rakhta nahin
Jo bikhar jaye pal..been sakta nahin
Tera tazurba magar..tujhse koi cheen sakta nahin
Zingai hai tazurba..es pal ka
Zingai hai tazurba..beete kal ka